Eik Main Hoon Kay Lehroon Ki Tarhan Chain Nahi Hai,
Aik Woh Hai K Khamosh Samandar Ki Tarhan Hai:(
Aik Woh Hai K Khamosh Samandar Ki Tarhan Hai:(
=-=-=-=-=
Aur Bhi Kar Deta Hai Dard Main Izafa,
Tery Hoty Huay Ghairo’N Ka Dilasa Dena .
Tery Hoty Huay Ghairo’N Ka Dilasa Dena .
=-=-=-=-=
Tapak Partay Hain Aansoo Jab Tumhari Yaad Aati Hai,
Ye Wo Barsaat Hai Jis Ka Koi Mosam Nahi Hota
Ye Wo Barsaat Hai Jis Ka Koi Mosam Nahi Hota
=-=-=-=-=
Us Ne Mere Zhakhmo Ka U Kiya Ilaj
Marham Bhi Lagaya To Kaanto Ki Nok Se
Marham Bhi Lagaya To Kaanto Ki Nok Se
=-=-=-=-=
Jo Tum Bolo Bikhar Jayein, Jo Tum Chaho Sanwar Jayein
Magar Yoon Tootna Jurnaa Buhat Takleef Deta Hai
Magar Yoon Tootna Jurnaa Buhat Takleef Deta Hai
=-=-=-=-=
Bari Tabdeeliyaan Laai Hain Apne Aap Main Likin
Tumhain Bas Yaad Krne Ki Wo Adat Ab Bhi Baqi Hai
Tumhain Bas Yaad Krne Ki Wo Adat Ab Bhi Baqi Hai
=-=-=-=-=
Uski Awaz Sun Lou’N Tu Mil Jata Hy Soko’N Dill Ko.
Dekho Tu Sahi Merey Dard Ka Elaaj Kaisa Hy.
Dekho Tu Sahi Merey Dard Ka Elaaj Kaisa Hy.
=-=-=-=-=
Ache Lage Tum So Hum Ne Bata Diya
Nuqsan Yeh Hua K Tum Maghroor Hogay.
Nuqsan Yeh Hua K Tum Maghroor Hogay.
=-=-=-=-=
Wo Tha To Kahin Waqt Thehrta Hi Na Tha
Ab Waqt Guzrny Mein Bohat Waqt Lagta He
Ab Waqt Guzrny Mein Bohat Waqt Lagta He
=-=-=-=-=
Baithe The Apni Masti Mein, Ke Achaanak Tadap Utthe
Aa Ke Tere Khayaal Ne Accha Nahi Kiya
Aa Ke Tere Khayaal Ne Accha Nahi Kiya
Ab Kon Se Mausam Se Koi Aas Lagaye
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aye..
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aye..
=-=-=-=-=
Mera Shahar To Baarishon Ka Ghar Thehra
Yahan Ki Aankh Ho Ya Dil, Bahot Barasti Hain
Yahan Ki Aankh Ho Ya Dil, Bahot Barasti Hain
=-=-=-=-=
Kabhi Ji Bhar Ke Barasna, Kabhi Bond Bond Ke Liye Tarasna,
Ay Barish Teri Aadatein Mere Yaar Jesi Hain…!
Ay Barish Teri Aadatein Mere Yaar Jesi Hain…!
=-=-=-=-=
Kabhi Shokh Hein
Kabhi Gum Si Hein.. Ye Baarishen Bhi.. Tum Si Hein.
Kabhi Gum Si Hein.. Ye Baarishen Bhi.. Tum Si Hein.
=-=-=-=-=
Rim jhim rim jhim baras rahi hai,
Yaad tumhaari qatraa – qatraa
Yaad tumhaari qatraa – qatraa
=-=-=-=-=
Mujhe maar hi na dale in badlon ki sazish,
Ye jb se baras rahe hain tum yaad aa rhe ho.
Ye jb se baras rahe hain tum yaad aa rhe ho.
=-=-=-=-=
Is barish k mausam me ajeeb si kashish h
Na chahte hue bhi koi shidat se yaad aata hai.
Na chahte hue bhi koi shidat se yaad aata hai.
=-=-=-=-=
Is dafa tow barishain rukti hi nahin Faraz !
Hum ne kya aansu piye k saray mausam ro paray!
Hum ne kya aansu piye k saray mausam ro paray!
=-=-=-=-=
Main Tere hijar Ki Barsaat Main Kab Tak Bheegon …!!
Aise Mosam Main To Deewarain Bhi Gir Jati Hain…!!!!
Aise Mosam Main To Deewarain Bhi Gir Jati Hain…!!!!
=-=-=-=-=
Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.
=-=-=-=-=
Ishq wale ankhon ki baat samajh lete hain,
Sapno mein mil jaye to mulaqat samajh lete hain.
Rota to asman bhi hain apne Bichde pyar ke liye,
Par log use barsat samajh lete hain.
Sapno mein mil jaye to mulaqat samajh lete hain.
Rota to asman bhi hain apne Bichde pyar ke liye,
Par log use barsat samajh lete hain.
=-=-=-=-=
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
=-=-=-=-=
Agar Bhigne Ka Itna Hi Shaukh Hai Baarish Me,
To Dekho Meri Aankho Me,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Lekin Ye Aankhe Sirf Tumhare Liye Barasti Hai..
To Dekho Meri Aankho Me,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Lekin Ye Aankhe Sirf Tumhare Liye Barasti Hai..
=-=-=-=-=
Aaj Halki Halki Baarish Hay,
Aaj Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hay,
Aaj Phool Bhi Nikhray Nikhray Hain,
Aaj Un Main Tumhara Aks Bhi Hay
Aaj Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hay,
Aaj Phool Bhi Nikhray Nikhray Hain,
Aaj Un Main Tumhara Aks Bhi Hay
=-=-=-=-=
Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.
=-=-=-=-=
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai.
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai.
Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai.
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai.
=-=-=-=-=
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai.
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai.
=-=-=-=-=
Tumhe pehli barish psnd hai or mujhe barish me tum
Tumhe hsna pasand hai mujhe hstey huye tum,
Tumhe humse bat krna psnd h, mujhe bolte hue tum
Tumhe sab kuchh pasand hain or mujhe bas tum…
Tumhe hsna pasand hai mujhe hstey huye tum,
Tumhe humse bat krna psnd h, mujhe bolte hue tum
Tumhe sab kuchh pasand hain or mujhe bas tum…
=-=-=-=-=
Mausam tha beqarar tumhein sochate rahe
Kul raat bar bar tumhein sochate rahe
Baarish hui to lag kar ghar ke dareeche se hum
Chup chap beqarar tumhein sochate rahe.
Kul raat bar bar tumhein sochate rahe
Baarish hui to lag kar ghar ke dareeche se hum
Chup chap beqarar tumhein sochate rahe.
=-=-=-=-=
Barish Ke Paani Ko Apne Haathon Mein Samet Lo.
Jitna Aap Samet Paaye Utna Aap Humein Chahte Hai
Aur Jitna Na Samet Paye Utna Hum Aap Ko Chahte Hai.
Jitna Aap Samet Paaye Utna Aap Humein Chahte Hai
Aur Jitna Na Samet Paye Utna Hum Aap Ko Chahte Hai.
=-=-=-=-=
Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut
=-=-=-=-=
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
apni yadoon se kahoo yun na aaya karain
neend aati bhi nahi raat guzar jati hai…!!!
pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
apni yadoon se kahoo yun na aaya karain
neend aati bhi nahi raat guzar jati hai…!!!
=-=-=-=-=
Baarish Ki Bondon Mein Jhalakti Hai Us Ki Tasveer
Aaj Phir Bheeg Bethe Usse Pane Ki Chahat Mein
Aaj Phir Bheeg Bethe Usse Pane Ki Chahat Mein
=-=-=-=-=
Rehne Do Ab Ke Tum Bhi Mujhey Parh Na Sako Ge
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hon
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hon
=-=-=-=-=
Baarishain ho hi jaati hain mere shaher mein
Faraz
Kabhi badalon se to kabhi aankho se….!!
Faraz
Kabhi badalon se to kabhi aankho se….!!
=-=-=-=-=
Maza Barsat Ka Chaho To In Aankhon Mein Aa Baitho
Wo Barson Mein Kabhi Barsen, Yeh Barson Se Barasti Hain
Wo Barson Mein Kabhi Barsen, Yeh Barson Se Barasti Hain
=-=-=-=-=
Bad-Naseebi Ka Main Qaa’il To Nahin Hoon, Lekin
Main Ne Barsaat Mein Jalte Hue Ghar Dekhe Hain
Main Ne Barsaat Mein Jalte Hue Ghar Dekhe Hain
=-=-=-=-=
Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thi, Main Waaqif Na Thaa
Be-Sabab Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko
Be-Sabab Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko
=-=-=-=-=
Barsaat Mein Deewaar-O-Dar Ki Saari Tehreeren Mitin
Mitata Nahin Dhoyaa Bahut Taqdeer Ka Likha Huwaa
Mitata Nahin Dhoyaa Bahut Taqdeer Ka Likha Huwaa
=-=-=-=-=
Barish!
Too Na aaya Ker
Kay Tere Aanay Say
Aur Janay Kay baad Bhi
Koi
Buhat Dair Tak udass rahtaa Hay!!!!
Too Na aaya Ker
Kay Tere Aanay Say
Aur Janay Kay baad Bhi
Koi
Buhat Dair Tak udass rahtaa Hay!!!!
=-=-=-=-=
Ye husn-e mosam, ye barish, ye hawayein,
Lgta hai mohabbat ne aaj kisi ka sath diya hai
Lgta hai mohabbat ne aaj kisi ka sath diya hai
=-=-=-=-=
Rota Aasman, Mayoos Parinde or Teri Yadon Ke Silsily,
Uff! Ye Barish Kabhi Tanha Kyun Nahi Aati…!
Uff! Ye Barish Kabhi Tanha Kyun Nahi Aati…!
=-=-=-=-=
Theharta Ek Bhi Manzar Nahi Veeran Ankho Mein,
Humare Shehar Se Badal Bhi Bin Barse Nikalta Hai…
Humare Shehar Se Badal Bhi Bin Barse Nikalta Hai…
=-=-=-=-=
Kai Rog Dey Gai Hai Naye Mausmon Ki Barish
Mujhay Yaad Aa Rahay Hain Mujhay Bhool Janay Walay.
Mujhay Yaad Aa Rahay Hain Mujhay Bhool Janay Walay.
=-=-=-=-=
In barishon se adab-e-mohobbat seekho faraz,
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.
=-=-=-=-=
Kash meri zindegi mein aaye ek aisi barsaat
Mere hath mein ho tera hath
Bheegte rahein hum saari raat
Honth rahe khamosh
Bas aankhon se ho teri meri baat
Mere hath mein ho tera hath
Bheegte rahein hum saari raat
Honth rahe khamosh
Bas aankhon se ho teri meri baat
=-=-=-=-=
Ab ke sawan main paani barsa bohat
Paani ki har boond main woh aaye yaad bohat
Is suhaane mausam main saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat
Paani ki har boond main woh aaye yaad bohat
Is suhaane mausam main saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat
=-=-=-=-=
Aaj phir teri yaad aayi barish ko dekh kar
Dil pe zor na raha apni bebasi ko dekh kar
Roye is qadar teri yaad me
Kay barish bi thum gai meri Ashqo ki barish dekh kar
Dil pe zor na raha apni bebasi ko dekh kar
Roye is qadar teri yaad me
Kay barish bi thum gai meri Ashqo ki barish dekh kar
=-=-=-=-=
Barsat Ki Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhaani Yaad Aayi,
Kuchh Apna Zamaana Yaad Aaya Kuchh Unki Jawaani Yaad Aayi,
Hum Bhool Chuke They Jisne Hamein Duniya Mein Akela Chhor Diya,
Jab Ghaur Kiya To Ek Soorat Jaani Pehchaani Yaad Aayi
Kuchh Apna Zamaana Yaad Aaya Kuchh Unki Jawaani Yaad Aayi,
Hum Bhool Chuke They Jisne Hamein Duniya Mein Akela Chhor Diya,
Jab Ghaur Kiya To Ek Soorat Jaani Pehchaani Yaad Aayi
=-=-=-=-=
Chandni Se Chamakti Is Raat Main,
Ek Khushboo Si Hai Har Baat Main,
Paas Aake Bhi Kyon Hain Duriya,
Koi Pyasa Hai Kyon Barsat Main.
Ek Khushboo Si Hai Har Baat Main,
Paas Aake Bhi Kyon Hain Duriya,
Koi Pyasa Hai Kyon Barsat Main.
=-=-=-=-=
Saawan aaya’
Baadal chhaye’
Bulbul chehki’
Phool khiley,
.
.
Tum he nahi jab Barsaaton mein,
Aag lagay Barsaton ko …
Baadal chhaye’
Bulbul chehki’
Phool khiley,
.
.
Tum he nahi jab Barsaaton mein,
Aag lagay Barsaton ko …
=-=-=-=-=
Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani,
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.
Koi matawali ghata peeke jawani ki umang,
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.
=-=-=-=-=
Aaj barish me tumhare sang nahana hai,
Sapna ye mera kitna suhana hai,
Barish ke katre jo tere honthon pe gire,
Un katron ko apne honton se uthana hai.
Sapna ye mera kitna suhana hai,
Barish ke katre jo tere honthon pe gire,
Un katron ko apne honton se uthana hai.
=-=-=-=-=
Kahin Barish Baras Jaaye
Kahin Darya Taras Jaaye
Kahin Aa Kar Ghata Theray
Tumhare Or Mere Darmiyaa
Aaa Kar KHUDA Therey..
Tou ………!!!
Uss Lamhay Mere Jivan Main..
Tum KHUDA Ke Baad Aatey Ho..
Mujey Tum Yaad Aatey Ho
Kahin Darya Taras Jaaye
Kahin Aa Kar Ghata Theray
Tumhare Or Mere Darmiyaa
Aaa Kar KHUDA Therey..
Tou ………!!!
Uss Lamhay Mere Jivan Main..
Tum KHUDA Ke Baad Aatey Ho..
Mujey Tum Yaad Aatey Ho
=-=-=-=-=
Jab Gulab Kahin Pe Khilta Hai,
Jab Mausam Rang Badalta Hai,
Jab Badal Khoob Barasta Hai,
Jab Hawa Se Khushbu Aati Hai,
Jab Chandni Bhi Sharmati Hai,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.. !!
Jab Mausam Rang Badalta Hai,
Jab Badal Khoob Barasta Hai,
Jab Hawa Se Khushbu Aati Hai,
Jab Chandni Bhi Sharmati Hai,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.. !!
=-=-=-=-=
Aadat Uski Thi Bus Mujhe Jalane Wale
Baat Ki Hans Ke Mgr Dil Ko Dukhane Wali
Ajkal Wo Mujhe Kuch Badla Howa Lgta Hy
Ho Gain Uski Nighein Bhi Zamane Wali
Hum Ne Ikhlas Ka Daman Nhi Chhora Ab Tk
Haye Uski Tu Muhabbat Hy Rulane Wali
Main Ne Samjha Tha Guzar Jaye Ga Mausam Lekin
Rut – E – Barsat Bi Nikli Tu Satane Wali
Tumhare Waste Ab Koi Nhi Hy WASI
Khud Se Batein Na Karo Dil Ko Behlane Wali…

Kal halki halki barish thi,
Kal sard hawa ka raqs bhi tha.
Kal sard hawa ka raqs bhi tha.
Kal phool bhi nikhre nikhre the
Kal un pe aap ka aks bhi tha..
Kal un pe aap ka aks bhi tha..
Kal badal kaley gehre the,
Kal chand pay lakhon pahre the
Kal chand pay lakhon pahre the
Kuch tukray aap ki yaad ke,
Bari der se dil me thehre the..
Bari der se dil me thehre the..
Kal yaadein uljhi uljhi thi,
Aur kal tak yeh na suljhi thi..
Aur kal tak yeh na suljhi thi..
Kal yaad bohut tum aye the,
Kal yaad bohut tum aye the..
Kal yaad bohut tum aye the..
=-=-=-=-=
Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi,
Tu ne mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi.
Tu ne mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi.
Neend ka halka gulaabi sa khumaar ankhon mein tha,
Yun laga jaise woh shab ko der tak soya nahi tha.
Yun laga jaise woh shab ko der tak soya nahi tha.
=-=-=-=-=
Yeh barishein bhi tum si hain,
Jo baras gayi to bahar hain,
Jo thehar gayi to qarar hain,
Kabhie aa gayi yun hi besabab,
Kabhie chha gayi yun hi Roz o Shab
Kabhie shor hain, Kabhie chup si hain,
Kissi Yaad mayn kissi Raat ko,
Yeh barishein bhi tum si hain,
Ek dabi hui si raakh ko,
Kabhie yun huwa ka bujha dia,
Kabhie khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain.
Jo baras gayi to bahar hain,
Jo thehar gayi to qarar hain,
Kabhie aa gayi yun hi besabab,
Kabhie chha gayi yun hi Roz o Shab
Kabhie shor hain, Kabhie chup si hain,
Kissi Yaad mayn kissi Raat ko,
Yeh barishein bhi tum si hain,
Ek dabi hui si raakh ko,
Kabhie yun huwa ka bujha dia,
Kabhie khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain.
Yeh barishein bhi tum si hain
=-=-=-=-=
Yaadein jaag jati hain,
Barishon ke mausam mein.
Har ghari satati hain
Barishon ke mausam mein.
Shaam bhi kisi surat,
Chain se nahin kat-ti
Subahein bhi satati hain
Barishon ke mausam mein.
Zehen ke jharokhe mein
Jab koi sada ubhre.
Aankhein bheeg jati hain
Barishon ke mausam mein.
Barishon ke mausam mein.
Har ghari satati hain
Barishon ke mausam mein.
Shaam bhi kisi surat,
Chain se nahin kat-ti
Subahein bhi satati hain
Barishon ke mausam mein.
Zehen ke jharokhe mein
Jab koi sada ubhre.
Aankhein bheeg jati hain
Barishon ke mausam mein.
No comments:
Post a Comment